Saturday, April 25, 2009

-Atript Youvan 

Teri haseeN chaah dekh ker 
Muzhe bhi lagta hai !!!
Is Ghar ke angan maiN 
Ik 
asardaar Shagufta ho.

Lagta hai tere Youvan ki 
apaar tarange 
Vikal haiN; santript haiN 
kabhi kabhi 
Tumeh kaam maiN 
mast pata hooN 
Tumhara chehra 
Adhkhila Gulab sa lagta hai 
Our adher payaase 
kisi chaah maiN 

Kshitiz ki palkoN maiN bhari 
Rangeen prateeksha 
Tumhaare darshan ko aatur 
Shila par bhikhri Shubh chaandni 

Prantu sab kutch jalta hua 
Koun ata hai, Koun jata hai 
suhane chandan ki tarah 
Ik khushboo 
pas se Guzar jati hai 
tumhare hone ka 
ahsaas bhar kera jati hai 
Dil kerta hai 
samet looN tumeh 
Aalingan maiN 

Dekhte-dekhte 
mere hridaye ki 
bhuzti our jalti kalpanaayeiN 
MaiN akela 
Tumhaare ank maiN Chhupne ko baichaiN 
mere youvan ki atript tarange 
mere youvan ki apaar tarange. 


Harash 

No comments:

Post a Comment