Saturday, April 25, 2009

-Cycle se ghar hum ja rahe the, 
ik Meethi Dhun gunguna rahe the. 
Ik kutta pada nigah meiN, 
Soya pada tha rah meiiN.

Hamne bhi pagalpan bakhaar diya, 
Kutte ko pathhar maar diya. 
Uske seene sul pada, 
Wo Hamaare peechhe khul pada. 

Hamne bhi taaNg ghuma daali, 
Uski aankh udha daali. 
Kutta to or bhi tid gaya, 
Hamko dekh ke chid gaya.

Apna jakham to chaat liya, 
Hamaari taang ko kaat liya. 
Ye dekh ke ham to jaag padhe, 
Cycle ko le ke bhaag padhe.

Kuchh jiyada hi ham ghabra gaye, 
Rah jaate bandhe se takra gaye. 
Bandha to kad meiN chhota tha, 
Par wo khaasa mota tha.

Gusse meiN hamko marod daala, 
Cycle ka handle torh dala. 
Kutta to peechhe hatt gaya, 
Par banda peechhe padh gaya.



Harash

No comments:

Post a Comment