Saturday, April 25, 2009

--Dehleez se apni maiN uthh ke chali thi



Dehleez se apni maiN uthh ke chali thi
Ki socha tha unse mulakaat hogi 
Dag-magaate hue tanha paaNwo pe chalkar 
Pritam ki jaanib badhi jaa rahi thi

Socho.n maiN uljhan badhi dil ki tadhpan 
Barf si hui maiN chali jaa rahi thi 
Achaanak yuiN aankhoN se pardha sa sarka 
Seene ke ander se dil mera dhadka.

AkhyiyoN ne naapak maNjar sa dekha 
Bhayya ke hathhon main khanzer tha dekha 
Khoon se lath-path jawaani padhi thi 
ArmaanoN ki meri kahaani padhi thi.

NazreiN jo utha maine bhayya ko dekha 
Maasoom se chehre ke bhaNwo ko dekha 
Us ki nazar us jamii pe tiki thi 
Jaane wale ne khooN se jahaN ibaarat likhi thi.

"MaiN josh-e-jawaani maiN jakda hua tha 
Milne ko pritam se ruksat huaa tha 
Chalayaa kisi ne, na koi teer-o-khanzar 
Khud hi maiN khanzar se takra gaya tha" 
Ghar se jo uthh ke maiN yuiN hi chala tha 
Ki soch tha unse mulakaat hogi. 




Harash

No comments:

Post a Comment