Sunday, April 26, 2009

Ik Aas



Kisi post se Prerit ho ker iss kavita ka asal roop badal ker.....kuchh ahsaas daal ker pesh karne ki koshish ki hai..........is kavia ke bhaav poori tarah mere nahiN ha


Ik Aas


____Mere priye
mere antarman maiN
Jagah paane waale.....
mere har ahsaas ko
jan.ne waale...
____Jab kahi
duniyaa se be-jaar ho jao
our rone ka man kare......
mere paas aa jana!!
______wada toh nahi
Tumeh hasaane ka.......
Per itna toh jaroor karooNga
tum sang usi tarah ro dooNga.

______Phir kisi din
Tum is be-zaarZindagi se
bhaagna chaho....
Bina Jhijhak.....
Mujhe Bulana jaroor!!!!!
_____MaiN tumse wada toh nahi kerta
Ki tumeh... maiN rok sakooN.
Per itna wada jaroor kerta hooN
Ki tum sang bhaag chalooNga.

____Khuda na kare
Koi aisa waqt aaye 'harash'
Tumeh koi sun.na na chahe!!!!
______Is shaks ko pukaar lena...
Main tumse wada kerta hooN
Main bilkul chup rahooNga.

_________Lekin
Mere dost.... mere dard ke sahil....
Kisi Din.....gar aisa ho
tum mujhe pukaaro...
Our koi jawaab na aaye..????

Toh Jaldi chale aana
Shayad Mujhe ...
Tumhaari jaroorat ho.

Shayad Mujhe
Tumhaari jaroorat ho.


Harash

No comments:

Post a Comment