Sunday, April 26, 2009

-YuiN na Ulzho meri zulfoN se O sanam, Pech-o-kham inke pal maiN sulajh jayeiNge,
samjhoge tum kabhi meri Dhadken ko jab khud-b-khud dil se dil bhi ulazh jayeNge.

Tere kadmoN maiN dadken bichha ke chalooN, maa-the se shikan bhi hata ke chalooN,
Ab banaooN naya aashiyaaN khwaboN ka, tum ishara kero hum samjh jayeNge.

Na do humko ye iljaam kaliyioN ka ab, Ye toh Girti haiN mere naseeboN se kab
Hum toh tarse haiN inko lipat jayenge, Girte- girte bhi inse ulajh jayeNge.

Kitne aziyat se tumko yuiN dete sada, teri saanse meri haiN, ai jane wafa
YuiN rulao na ab aao ab bahoN maiN, ye sulagte haiN armaaN jo, Bujh jayeNge.

Bheegi aankhoN se manzer mileNge kahaaN, cha-hat ka samander hai ab toh jawaaN,
Tum yuiN sazte raho hum yuiN takte raheiN, Guzre lamhoN ki yadoN maiN rujh jayeiNge.


Harash

No comments:

Post a Comment