Tuesday, July 14, 2009

Nav-Vivahit JoRha--Ek hasya Kavita

Nav-Vivahit JoRha
_________

Nav-Vivahit JoRha
scooter par
Chala ja raha tha !
Unhe dekh....
Man-chaloN ka dil
Jala ja raha tha !!

Achanak...!!
Scooter ne,
Bas kho diya tha saNtulan,
Ik taraf Gire miaN ji
Doozi taraf thi Dulhan !
Drishya kuchh aisa tha,
Pati-patni chhitar gaye the
Ang-ang sadak par
Bikhar se gaye the
Thhithhak kar logoN ne,
TuruNt DouRh lagaayii
Patni ko uthha ...
Poochha...
Bahin ji..kahiN chot to nahiN aayii ?
Ye dekh miaaN ji ne ik Guhaar lagayii..
'Arey, bahin ji ke bhaaiyo
Koi idher bhi to aao
Tumhara jeeja Bhi Gira paRha hai
Koi isey bhi to uthhao !!!!



Harash

Wednesday, July 8, 2009

Dil MeiN jwala Mukhi

Mere bane alochak
Kabhi mitra rahe the mere
Ab chhoRh kavita apni
Jwala ugle
Swere-swere

ShabdoN meiN ab wo mere
kutch shabd
Is tarah tatol rahe haiN
Mitt jaooN maiN,
vaqtaoN se
kuchh is tarah se bol rahe haiN
Jo Geet murjha gaya tha
ab phir se laga mahekne
WaqtaoN ne ek na maani
phir dil laga dahekne…

Jaane kyuN unhe ab
Har Nazm
kyuN khalti hai
Waastav meiN
Unki nazer meiN
hameiN kavi kehna hi ik galti hai

Akhir freedom of speech hai
Kon rok sakega
Har shaks khud khuda hai
Bhala kon tok sakega

Ab kya kaheiN hum yaro
yahaN sab chalta hai
JokeroN, shikhandiyoN, dalaaloN se
Shayad
Unka ik ik review banta hai.



Harash