Wednesday, April 28, 2010

Aabroo watan ki aaj yuN bachi ke kya kaheiN

Nazm

Aabroo watan ki aaj yuN bachi ke kya kaheiN,
Fouz apni Kaargil meiN yuN ladii ke kya kaheiN.

DushmanoN ke Qaafile, jab Hind ki zameeN pe the,
Aoulaad-e-Hind ban ke shola yuN ladii ke kya kaheiN.


Dahelte the, LaadloN ki,  maaoN ke woh dil hi the,
Teem RaNg meiN dekh tan ke yuN khadi ke kya kaheiN.

Ek taraf jaNg Kaargil ki, Dooji thi siyasati,
SiasatoN dono jaNg, Yun ladii ke kya kaheiN.

DushmanoN ke SaNg, Dosti Nibha raha tha Hind,
Dosti ab chhal ke, MaheNgii yuN padii ke kya kaheiN.


Harash Mahajan@copyright reserved


Thursday, April 15, 2010

Mohabbat ho rahi badnaam mere afsaane bahut haiN


...

मुहब्बत हो रही बदनाम मेरे अफ़साने बहुत हैं,
तेरे इस शहर में
अब तो  मेरे दीवाने बहुत हैं |

तेरी आंखों के समंदर में मिले है नशा इतना,
वरना कहने को तो इस शहर में मैखाने बहुत हैं |

यूँ  ही खिलते हुए फूलों को झड़ते देखा है मैंने,
जिन्हें अंजाम देने को यहाँ बेगाने बहुत हैं |

तेरे कूचे में आकर दिल की कश्ती डूब जाती है,
मगर तुम देखो तो हम प्यार में अनजाने बहुत हैं |


मेरी रातें तेरी यादों से सजी रहती हैं लेकिन,
मुझको डर है तो बस इन यादों के ठिकाने बहुत हैं |

हर्ष महाजन

Saturday, April 3, 2010

Mere Dosto

 Adaab...Hum apne dosto ka iss khoobsoora bazm me swagat kerte haiN...aapki shayri ke liye iss link per click keejiye...umeed kerte haiN aapka funn yahaaN zaroor soodmand saabit hoga.


http://shayriapni.30.forumer.com/index.php?



Shukriyaa^h



Harash

http://shayriapni.30.forumer.com/index.php?