Tuesday, June 15, 2010

Saffar Zindagi ka mujhe har simt nibhana hai

Ghazal

Saffar Zindagi ka mujhe har simt nibhana hai
Dushman mire bahut par tu ik dost purana hai

Mera har shabd bana hai tere hi shabdoN se
Unhe bas apne sheroN meiN bithhana hai.

Dard se bhara hai mere sheroN ka har misra
Tujhe ab ik-ik karke lamha-lamha sunana hai.
 
kab tak thaame gi tujhe, teri saanso ki Dore
Mujhe aaker. tujhe sapno meiN batlana hai.

Jee bhar ke jee lo is Zind ko jo asaaN toh nahiN
Dard ko bhoolne ka yahi ik sabab suhana hai.

Khuda ko bhi ab
sun.na hoga, meri faryaad ko 
Ke 'Harash' ko abhi ik roothha dost manana hai

Harash Mahajan @

5 comments:

  1. Khuda ko bhi ab sun.na hoga, meri faryaad ko
    Ke 'Harash' ko abhi ik roothha dost manana hai

    Very emotional creation..

    ReplyDelete
  2. Divya ji namaskaar/adaab...shukriyaa^h aapki pasandagii ke liye...Khaaksaar aapko apne iss chhote se GharoNde meiN aap ko Khush_aamdeed kahtaa hooN....our ummiid kerta hooN ke aaiNdah bhiii aapse mulaaqaat hotii rahegii...

    Shukriyaaa^h ek baar phir

    Harash

    ReplyDelete
  3. Harsh ji,
    zaroor hoti rahegi !

    aap bahut achha likhte hain.

    Likhna jari rakhiye aur ek link mujhe humesha post kar diya kijiye

    so that i won't miss out reading and commenting.

    Regards.

    ReplyDelete
  4. Hello Harashji, aapki ye gazal phir se padh ke bahot achcha laga

    ReplyDelete