Friday, May 11, 2012

किस-किस से पूछूं उन पे नज़र है के नहीं है

...

किस-किस से पूछूं उन पे नज़र है के नहीं है,
देते जो घाव तुमको खबर है के नहीं है ।

महफ़िल से उनका बे-सबब उठ कर चले जाना,
देखो मेरी ग़ज़लों में असर है के नहीं है ।

छलनी हुआ है दिल मेरा कुछ रहा नहीं बाकी
अब सोचो न मुझ में ये सबर है के नहीं है |

अब रंज-ओ-गम इतना था मैंने खुदकशी चुन ली,
न सोचा समंदर में भंवर है के नहीं है ।

पशेमान था जो इश्क क्यूँ कबूल न हुआ,
अब क्या कहूं किस्मत में सहर है के नहीं है ।

___________हर्ष महाजन

...

kis-kis se poochu unpe nazar hai ke nahiN hai,
Dete jo Ghaav tumko khabar hai ke nahiN hai.

Mehfil se unka be-sabab uth kar chale janaa,
Dekho meri ghazloN meiN asar hai ke nahiN hai.

Chhalni hua hai dil mera kuchh raha nahiN baaki,
Ab socho na mujh maiN ye sabar hai ke nahiN hai.

Ab ranj-o-gam itna tha maine khudkashii chun lee,
Na socha ye samandar meiN bhanwar hai ke nahiN hai.

Pashemaan tha jo ishq kyuN qabool na hua,
Ab kya kahuN kismat maiN sehar hai ke nahiN hai.


__________________Harash Mahajan

No comments:

Post a Comment