Monday, April 21, 2014

दर्द दिल में था उठा, साँस मुझसे रूठ गयी



दर्द दिल में था उठा, साँस मुझसे रूठ गयी,
जिसे मुद्दत से था चाहा वो मुझसे छूट गयी ।

दिल में यादों की तरह आँख में आंसू की तरह,
मैं तो जी लेता मगर साँसें मुझसे लूट गयी ।

हमने देखा नहीं नदिया में कभी उठता भंवर,
आज लहरों पे इन के मेरा गला घूँट गयी ।  

मैंने बरसों से सहे दर्द अश्क़ ज़ब्त किये
आज जो दे दिए हैं ज़ख्म गगरी फूट गयी ।

मुझे गम मौत का नहीं मेरे ओ जाने जिगर,
मुझे गम है कि ज़िंदगी ही मुझसे रूठ गयी ।


-०-

Dard dil mein tha utha saans mujhse rooth gayii
Jise muddat se kabhi chaha mujhse chhoot gayii.

Dil meiN yaadoN ki tarah ankh meiN aansoo kitarah
MaiN to ji leta magar saanseN mujhse loot gayii.

Hamne dekha nahiN nadiya meiN kabhi uthta bhanwar,
Aaj lahroN pe in ke mera galaa ghoont gayii.

Maine barsoN se sahe dard, Ashq zabt kiye,
Aaj jo de diye haiN zakhm gagrii phoot gayii.

Mujhe gam mout ka nahiN mere o jaane zigar,
mujhe gam hai ki zindagii hii mujhse rooth gayii.


________________Harash Mahajan

No comments:

Post a Comment