Thursday, April 30, 2009

Kaisa hai ab shor yahaaN par, dikhte haiN ghabraye log


Kaisa hai ab shor yahaaN par, dikhte haiN ghabraye log
DooNda karte pyar yahaNpar  sadiyoN se thhukraye log.

Bik jate imaan yahaN per bik jati haiN neeyat bhi
Zarra-zarra Loota humse, jab-jab milne aaye log.

Khatam hue haiN jazbe dil ke khatam hue saaer ahsaas
Apne hi kaaNdhoN par phirte apni laash uthhaye log.

Har InsaaN ke dil meiN uth.ta pyaar ka ik aisa tufaan
Jiske bahaane jee paate haiN hum jaise pathhraye log.

Kafan adhoora lakdi adhoori adhoora apnoN ka imaan
Chita se uth.ti aag se dekho Ghar ka deep jalaye log.


Harash

2222 2222 2222 2222
Beh'r- mutdaarik musamman maktuu'a shaanzdah rukni

2 comments:

  1. waah.. harsh ji,
    har sher umda kaha hai, aur ek behtareen ghazal.
    yakeen maniye har sher par waah nikli.. har sher rooh tak pahucha...
    badhai..!!

    ReplyDelete