-Salaam Un JawaanoN Ko JO Desh Pe Mite Chale
Salaam Un jawaanoN ko jo desh pe mite chale
Woh zindagi ka carvaaN, jo ghar se le ke the chale.
Watan ki aabroo liye, jawaan aage barh chale,
Ye Kaafile jo unke dekh, DushmanoN ke Dil jale,
Woh seene maiN apne sehte, GolioN ke zalzale,
Woh zindagi ka carvaaN, jo ghar se le ke the chale.
salaam un jawaanon ko....................
Woh mouj dil jawaan the, jo desh ko pukaarte,
woh Mukh se apne ek baar bhi aah na nikaalte,
Woh desh hit ke waaste jawaaniyaaN luta chale,
Woh zindagi ka carvaaN, jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN ko....................
Watan ke waaste jo, jaaN ki baazi tak laga gaye
GolioN ke har woh waar seene pe kha gaye,
Woh tukde the jo apni-apni maaoN ke laadle,
Woh zindagi ka carvaaN, jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN ko.....................
Watan ko jaga-ker, jaane khud woh kahaaN gaye,
Juda hue amar hue, azadi ke ye din diye,
Bahaduri se sar pe apne le ke the kafan chale,
Woh zindagi ka carvaaN, jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN ko......................
Harash
इस ज़िंदगी के उतार-चढ़ाव के साथ कई कवि सम्मेलनों और महफ़िलों में शिर्कत करते हुए ज़हन से निकले अहसास, अल्फास बनकर किस तरह तहरीरों में क़ैद हुए मुझे खुद भी इसका अहसास नहीं हुआ | मेरे ज़हन से अंकुरित अहसास अपनी मंजिल पाने को कभी शेर, नज़्म , कता, क्षणिका, ग़ज़ल और न जाने क्या-क्या शक्ल अख्तियार कर गया | मैं काव्य कहने में इतना परिपक्व तो नहीं हूँ | लेकिन प्रस्तुत रचनाएँ मेरी तन्हाइयों की गवाह बनकर आपका स्नेह पाने के लिए आपके हवाले है उम्मीद है आपका सानिध्य पाकर ये रचनाएँ और भी मुखर होंगी |
No comments:
Post a Comment