________________________
SougwaroN meiN mera kaatil sisakne kyu laga
Ik bejaa koshish hai dil meiN khanzer chubaane ki
Tire dil ne hi rah-e-mohabbat chuna tha magar
Ab kyuN kerte ho koshish dil meiN Gum sajaane ki.
Jaate-jaate keh gaye the tum nahi aaoge kabhi
kyuN kerte ho koshish khwaboN meiN bhatkane ki
Bahoot diye haiN ashq tumne tohfe bana-bana ker
Jee bhar ke koshish karooNga ab uneh tapkaane ki.
ChhoRh ker tum bhi gaye mujhe meri kismat ki tarah
Pyaar bhi be-sabab tha Our fikra thi zamaane ki.
KyuN chaha maine chaaNd ko woh toh sabka tha
Saza mili mujhe koshish jo ki dil meiN sajaane ki
Ab toh utar chuke ho dil se is tarah kya kahooN
Ke zaroorat bhi nahiN lagti tumeh ab bhulaane ki
Harash
इस ज़िंदगी के उतार-चढ़ाव के साथ कई कवि सम्मेलनों और महफ़िलों में शिर्कत करते हुए ज़हन से निकले अहसास, अल्फास बनकर किस तरह तहरीरों में क़ैद हुए मुझे खुद भी इसका अहसास नहीं हुआ | मेरे ज़हन से अंकुरित अहसास अपनी मंजिल पाने को कभी शेर, नज़्म , कता, क्षणिका, ग़ज़ल और न जाने क्या-क्या शक्ल अख्तियार कर गया | मैं काव्य कहने में इतना परिपक्व तो नहीं हूँ | लेकिन प्रस्तुत रचनाएँ मेरी तन्हाइयों की गवाह बनकर आपका स्नेह पाने के लिए आपके हवाले है उम्मीद है आपका सानिध्य पाकर ये रचनाएँ और भी मुखर होंगी |
Monday, June 22, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment