Thursday, August 18, 2011

Six liner "khaatoN ka hisaab"

Dosto kaafi arse baad mere "six liners" ki series phir se shuru hui hai umeed hai aap ko pasand aayegi our aage ki tarah aapka bharpoor sath milega ....

Anna ne bharat desh meiN uthha li re kamaan
GaddharoN ki mehfil meiN ab mach gaya re tufaan
Mach gaya re tufaan,chal pada parliament session
Neta ab ghabraye padi khaatoN ki tesnsion
kahe "Harash" Kavi-Rai khulega swiss bank ka panna
Khud hi Kholo  hisaab nahi to aa jaayega anna.

Harash Mahajan@

Wednesday, August 17, 2011

मौत भी काँप उठेगी

इस जिंदगी की दौड़ में अब मैं और तू
शायद खुदा भी अनजान है मैं यहाँ पैर हूँ
देह्शात्त्ज़दा हो चुके हैं हालात-ए-गम अब "हर्ष"
मौत भी काँप उठेगी और कांप उठेगी
रूह |

लोकपाल बिल

अन्ना ने सारा देश अपने नाम कर लिया
सत्ता का ये गलियारा बे-दाम कर दिया |

वफाओं पे उसकी हुआ इस दर्जा यकीन
हर शख्स ने रूह तक को नीलाम कर दिया |

वतन बेचकर जिन्होंने कमायी इज्जत-ओ-दौलत
उन् गद्दारों को इस शख्स ने बदनाम कर दिया|

है मुस्तकबिल के पार्लिअमेंट में ये लोकपाल बिल
इस शख्स ने पल-भर में अब अंजाम कर दिया |

हो चुके मशहूर अब कर-कर वादाखिलाफी
नेताओं ने अपने आप को बे-ईमान कर लिया |

देख-कर हमको तो अब अहसास हो चला
अन्ना ने सही वक्त पर इंतजाम कर लिया |

ये "हर्ष" यार यारों का हरसफर में उसके साथ है
हर ख्वाईश का अपनी कतल-ए-आम कर लिया |

मुस्तकबिल = पक्का

हर्ष महाजन

अनचाही जिंदगी

अनचाही जिंदगी यूँ ही जी रहा हूँ मैं
तेरे बिन लहू के घूँट पी रहा हूँ मैं
न जी सकूंगा अब इतनी लंबी पारी
दुःख की चादर यूँ ही सी रहा हूँ मैं |

Anna

Naam ko yuN gumnaam na keejiyega
Isey anna ki tarah desh ke naam keejiyega
Zindagi toh yuN bhi guzarti chali jaayegi
isey Pehchaan lo toh salaam keejiyega

Tuesday, August 16, 2011

ज़ख्म

दिल के ज़ख्म लिए घूमता हूँ गली गली
अब लगता नहीं है -- इक इंसान हूँ मैं |

Saturday, August 13, 2011

Raat



Meri har yaad teri palkoN meiN dikhaayii deti hai
Kya tujhe bhi yaad dilaooN wo mulaaqaat ki raat.

मेरी मैय्यत


KyuN meri mayyat pe Deeya jalane aate ho
Dil ke Zakhm ab kyuN sehlaane aate ho
NahiN bhool sakta tere diye zakhoN ka wo sailaab
Ab kyuN meri soyi rooh ko tadpaane aate ho
__________________________
क्यूँ मेरी मैय्यत पे दीया जलाने आते हो
दिल के ज़ख्म अब क्यूँ सहलाने आते हो ?
नहीं भूल सकता तेरे दिए ज़ख्मों का वो सैलाब
अब क्यूँ मेरी सोयी रूह को तद्पाने आते हो |
__________हर्ष महाजन@

Thursday, August 11, 2011

LakeereiN



Mujhe apne hathoN ki lakeeroN maiN reh lene do
Iltaza hai Ashq Kuchh baaki haiN beh lene do
Thak chuka hooN YuN hi teri raah takte-takte
Apne sard hotoN se ab mujhe kuch keh lene do.
______________

मुझे अपने हाथों की लकीरों मैं रह लेने दो
इल्तजा है अश्क कुछ बाकी हैं बह लेने दो
थक चुका हूँ यूँ ही तेरी राह तकते-तकते
अपने सर्द होटों से अब मुझे कुछ कह लेने दो |

हर्ष महाजन @

Wednesday, August 10, 2011

हम जब-जब बर्बादी-ए-दिल सुनाते रहे

_________नज़्म

हम जब-जब बर्बादी-ए-दिल सुनाते रहे
जश्न वो यूँ ही मनाते रहे |

खुशी से न मर जाएँ यही कहा उसने
फिर बे-वफाई का किस्सा फख्र से सुनाते रहे

आंसुओं से नवाज़ा उसने मुझको इस तरह
हम तब से चश्म अपने सहलाते रहे|

बातों में उसकी सियाही का ज़िक्र था
रफ्ता-रफ्ता मेरी जिंद में लगाते रहे |

_______हर्ष महाजन @

Tuesday, August 9, 2011

Ashq
Ye sholey yuN na uchhala keejiye
pyaar ke Ashq haiN sambhala keejiye
YaadeiN

In pariNdo ke sang haath milaya na karo
Is naamuraad dil ko samjhaya na karo
in raastoN me shool to bahoot haiN dost
Par yaadoN ko bhool se bhi bhulaya na karo
AankhoN per Tapsira

AaNkhoN per tapsiraa woh karne lage
kutchh iss tarah woh un per marne lage
Samander ho gaya hai ashqoN ka sailaab
Unki har ada ki ab woh kadra karne lage

Sunday, August 7, 2011

गम कोई ले नहीं सकता

 
Gum Koi le nahin sakta
Khushi toh apni hoti hai our gum koi le nahiN sakta
Kisi ko apne haathoN ki lakeerieN de nahiN sakta

Zakhm bhi apne hote haiN dard bhi apna hota hai
Kisi ko apne hisse ka marham koi de nahiN sakta

Badan gar toota hai apna uthhana khud hi padta hai
Kisi ko apni saaNso se, koi saanse de nahiN sakta

Saturday, August 6, 2011

 
 Machal-kar
Maine Dard-e-gum uthhaye tere ishq maiN machal-ker
KahiN tum badal na jana meri zindagi badal-ker.

Tera naam mere lab per rahe sard aah bhar-ker
kabhi Ashq maiN umad-ker kabhi dard meiN sihar-ker.

Meri haq-e-bandagi ka, tere dar se waasta hai
Tuzhe sizde ker rahi hai meri rooh si nikal-ker

Badi tez haiN fizayeiN mera dil dehal raha hai
KahiN tum chale na jana 'harash' se fisal-ker.
 
Kaseede
LogoN ke hunar per ab kyuN kaseede pada karte haiN
Ajnabi haiN phir bhi kyun naseehateiN diya karte hain
Pagal karte haiN hameiN ban kar aasteenoN ke saanp
be-dharhak hamare zism ka khoon Piya karte haiN

Friday, August 5, 2011

ग़ज़ल
दर्द को कलम दे कोई
इतना भी आसान नहीं

उठे ज़लज़ला इस दिल में
ऐसा कोई तूफ़ान नहीं

छोड़ी न तलाश-ए-यार में
सर ज़मी कोई आसमान् नहीं

जला के दिल यूँ ख़ाक करे
बहारोँ में ऐसी कोई खिजां नहीं

निगाहें कह दें राज़-ए-दिल
अब ऐसी कोई फुगाँ नहीं
Haar
Mout Bhi zaroori hai
Zindagi bhi pyaari hai
faasloN se jooye maiN
Maine shaam haari hai

Janam Din

Aaj Ek dost ke janamdin per dil se duayein hee nikalti haiN aur aise meiN kavita likhne ki farmaish bhi kee jaaye to janab kya kehne....us rooh ki Seher toh usi din hoti hai na... :)

Aao teri umra ko  chaaNd sitaaroN se likh dooN
Janam din ko tere  phool baharoN se likh dooN
DuniyaN ki Goud se  le aaooN saaari khoobsoorti
Saja kar teri mehfil haseen nazaroN se likh dooN
+----------+

Ye din ye mahina ye taarikh bhi likh dooN
koun hai janam din per shariek wo bhi likh dooN
kitne pyaar se hamne ye mehfile aaj sajaayi hai
Aao har shamaa par tere naam ki tehreer bhi likh dooN.

Dost

LogoN ke hunar per ab kyuN kaseede padte ho dost
ajnabi haiN woh per kyun naseehateiN rakhte ho dost
Pagal kar denge tumeh ban kar aasteenoN ke saanp
Sukha denge tumhare zism ka khoon ya paaseene ho dost