Friday, February 10, 2012

Garaj ke barsata hai badal bhi zamane ki tarah par

Garaj ke barsata hai badal bhi zamane ki tarah par
Uski har adaa ko peene ka hunar rakhta hooN maiN

Usey haq hai mujhe gam de our aazmaaye mujhko
Woh mera aayeena hai itna toh sabra rakhta hooN maiN

hamare darmiyaN intezaar ka koi maayna hai toh nahiN
Magar Har intzaar meiN naya sakooN takta hooN maiN

Kabhi aisa ho ke woh mujhe toofaaN meiN bhool jaaye
Uski mazboori ko yadoN ki chaader se dhaNkta hooN maiN.

Kuchh iss aNdaaz se kahiN bikhar jaati hai Harash-e-hasti
Demaag-o-dil nahi hai bas meiN is tarah bikta hooN maiN.



_________________________Harash Mahajan

No comments:

Post a Comment