Sunday, April 26, 2009


-Yaaro ham to ishq meiN saudai ban gaye, 
Shaheriye tamaam, tamaashaayi ban gaye. 

LogoN ki badzubani bhi baRhi jo is kadar, 
Ham to apne pyaar ki ruswaayi ban gaye. 

Hamne unki baa-wafaayi na parkhi ek baar, 
Parkhi to gunah ki shehnaai ban gaye. 

Aise meiN ‘harash’ yuN hi ab kare hai kyuN gunah, 
Ham safar ye ab tere harjaayi ban gaye. 


Harash