शिल्प-ज्ञान -1 a
Dosto
aaadaab...
aaj ek baar phir aapke saaamne ek chhota sa topic laker aya
hooN wahi ek topic jise dubara ek aasaan tareeke se pesh karne ki
koshish bhar ...jiske baare me baar baar kahne ki zaroorat mahsoos hoti
rahi hai .....sabhi ke liye isliye kehna chahta hooN....ki man ko baar
baar ek irritattion si hoti hai ke baar baar kahne ke ba-wazood bhi
...nazm/kavita ko bade aasaan samjhi jaane waali tahreer samajhte haiN
.....magar aisa hai nahiN....bina usooloN me lahi jaane waali nazm
..nazm nahiN hoti ..balke wo prose ka hissa hoti hai ..jisey ham Gadhya
kahte haiN...afsos hota hai......Seekhne waale ...seekhne ki ratt me ye
kahte to haiN ki ham seekhna chahte haiN magar seekhne se bahoot parey
haiN....maiN isey roman meiN is liye likh raha hooN ke sabhi lekhak is
topic ko har channel meiN padh sake ......bahot hi chhote topic me isey
ek baar phir samjhaane ki koshish....
Nazm Kya Hai?...........Ek nazer
Nazm ya kavita ,ek hi subject, ek hi soch hai jo ek hi topic pe kahi
jati hai, ek nazm mein do topic kabhi nahi ho sakte...koi ek vichar ho
sakta hai doosra nahi....kul milakar Nazm ek soch hai....
Nazm mein
Radeef,Qafiya ya Beher ki koi pabandi nahi hoti hai, haaN Nazm ka ek
lay mein hona zaroori hai...jise sabhi kahne waale nazer andaaz kar dete
haiN.
Example ke tour pe.....
Faiz Ahmed Faiz ki ek Nazm hai, Zara Dhyaan se Dekhiye
Mere dil mere musaafir
huaa phir se hukm saadir
ke vatan badar ho.n ham tum
de.n galii galii sadaaye.N
kare.n ruKh nagar nagar kaa
ke suraaG koii paaye.N
kisii yaar-e-naamaabar kaa
har ek ajanabii se puuchhe.n
jo pataa thaa apane ghar kaa
sar-e-kuu-e-naashanaayaa.N
hame.n din se raat karanaa
kabhii is se baat karanaa
kabhii us se baat karanaa
tumhe.n kyaa kahuu.N ke kyaa hai
shab-e-Gam burii balaa hai
hame.n ye bhii thaa Ganimat
jo koii shumaar hotaa
hame.n kyaa buraa thaa maranaa
agar ek baar hotaa
- Faiz Ahmed Faiz
Is poori Nazm ko gaur se padhne par aapko maloom hota hai ke shuru se
aakhir tak Nazm mein mahoul banaya gaya hai aur aakhir tak usey mahfooz
rakha hai.....lay bhi hai our topic bhi ek hai.......achhi nazmoN ko
padhne se dil me hi aisa mahoul paida hota hai......kam kahiye lekin
kahiye wahi jo nazm maangti hai .......
Harash Mahajan
______________
No comments:
Post a Comment